Har Subah ek nai geet hogi, Har Dopahar ek nai saas hogi, Har Sham ek nai sargam sajegi, Har Raat ek nai taal banegi, Har Din bas ab aise hi nai hogi, Jindagi, Jindagi nahi ek Jashn-e-mehfil hogi.
Teri payal ki chan chan, Woh chudi ki khan khan, Teri muskan ki chehek, Woh kamar ki lehek, Bana deti hum ko is kadar deewana, Behek jate hein hum bin gaye mehkhana.
Beeg gayi aakhen humari,
Woh smaje yeh khushi se hain,
Woh kya jane dil ki nami, akhoon se beh aayi thi,
Is Barish mein khusi nahi, pyar ki kami thi.
Sunday, October 25, 2009
Woh dil he kya jisme dard na ho, Woh Jaam he kya jisme gum na ho, Rahe chahe lakhon log paas humare, Per Woh mehfil he kya jisme tum na ho.
Saturday, October 10, 2009
Sab ke saath yeh hota hai
Khyal dil mein jab aata hai
Jabaan khamosh ho jaata hai
Bol kar kai keh na pate hein bahut kuch
Kuch bin bole keh jate hein subkuch.
Jindagi kai rang diklati hai
Kuch gum ke kuch khushi ke deti hai
Per jindagi ka sabab he yeh hai
Sirf khud pe bharosa rakhna hai
Kyonki Andhere mein, parchaai bhi saat chod deti hai.
Sunday, September 27, 2009
Jo nange pav chala na ho Woh dharti ki chuban ko kya jane
Jisne payr kiya na ho woh dil ka dard kya jane
Jisne Chehare ke muskan ko padna seekha nahi
Woh dil mein chupi nami ko kya jane.
Mere har shabd se karti thi woh nafrat
Mere har ishare se karti thi woh bagavat
Pyar chupane mein samajti thi woh sharafat
Per yeh thi unki ada, karne ka ishar-e-mohabaat.
Nyno se kiya tha pyar ka ishar
Khamosh reh kar keh di thi dil ki baat
Samajh na sake woh mera yeh andaz
uth rahi hai doli uski aur saat mein hai baraat
Muskura rahen hai woh aur
Baithe hain hum logon ke beech tanhai ke saat.
Aakhen khuli toh deedar tera ho
Sasen chalen toh mehek tera ho
Mar bhi gaye toh gum nahi
agar kafan tere anchal ka ho
Tumhare shikwa per bhi na gila karenge
Tumhare ruswai per bhi na khafa honge
karte hain tumse bepannah mohabaat
Tumhare har sitam ko sah kar bhi bafa karenge
Saturday, August 15, 2009
Change is inevitable...it will come in today or tomorrow.
U decide do u want to be the change or just a follower of change.