Wednesday, October 15, 2014

Tassavur mein thi jo, jaane kab tasveer ban gayi,
Aarzoo thi jo meri, jaane kab hakeeqat ban gayi,
Nai Nai si mulakat thi, jaane kab, jaane kab dost ban gayi,
Haasrat jo khabi thi, jaane kab mukamil khawish ban gayi.
Khabi ruk jata hai waqt,
Khabi Palak japakte hi uud jata hai waqt,
Khel aisa khelta hai, khabi gum toh khabi hasaata hai waqt,
Raftar apni chalta hai waqt, phir bhi kisi ko aage nahi nikalne deta hai waqt,
Saath reh kar bhi, vismit kar deta hai waqt,
Kyon itna anjaan sa hai yeh waqt,
Uski agli chal na jaane kya hogi, khul kar bhi kitna rehesmai hai waqt.