Sunday, February 20, 2011

Aakhoon se askh na aaye bin tere
Hooton pe hasi bhi na aaye bin tere
Gulistan bhi veeran hai bin tere
Mein toh Khud khud na hoon bin tere
Voh Ghazal ki ek keetab thi
Voh gulon mein ek gulab thi
Voh na pal bhar ki ek khawb thi
Voh toh har waqt ki khushi thi
Voh ek dost nahi...meri jindagi thi
Woh ghadi bhi kya ghadi thi
Pass bilkul pass woh khadi thi
Phir jab aanken unse ladi thi
Dil mein toh bus ek aag si chidi thi
Woh ghadi bhi kya ghadi thi
Nigahen toh mila le
Kuch ishara toh kar de
Pyar bhari hai teri ankhoon mein
Palke jhapka kar dil ki baat byaan kar de
Hasi dukh ko chupa deta hai
Jheel gaharai ko chupa deta hai
Nafrat ki naquab na odo ye dost
woh pyar ko chupa deta hai