Wednesday, November 18, 2015

Tammanaon ko dil mein chupana seekh liya,

Gumo ko akhon mein dabbana seekh liya,

Bayan na ho jaye kuch labon se, hum ne toh mefil mein jaana chod diya.
Haasta tha jo khul ke khabi na jaane woh kahan kho gaya,

Haasi baat ke kiston mein reh gaya, mod zindagi ka aisa aaya aaj,

woh Kist ne bhi muh mod liya.....

Wednesday, January 14, 2015

Barish toh badal ke takrane se hota hai,
Dard ka ehsaas toh dard hone se hota hai,
Chalo kisi ke saath kafi door tak, aur chod jaye woh sathi agar,
Dekho akele laut ke aana kitna muskhil hota hai.
Keh toh diya hume shor pasand nahi,
Perdhadkan ki awaaz ko kaun samjhaye,
Keh toh diya ki roshni pasand nahi,
Per is dil ki angaar ko kaun bhujayee,
Keh toh diya ki bheed jachata nahi,
In hazaron khayalon ki uljhan ko kaun suljhaye,
Keh toh diya ki roz milte nahi,
Is ruh ki bechainee unko kaun bataye,
Keh toh diya ki waqt hai nahi,
Is pal pal ki utejana unhe kaise darshaye,
Keh toh diya ki hume kami mehsoos nahi,
Is tanhai ki bharmaar ko unhe kaise farmayein
Hum se na poocho ke duniya ka rang kya hai,
Humare mashroof rehne ka andaaz kya hai,
Zamaane ke liye toh log saath chalte hain,
Humare tanhai ka sabab na pooch kya hai.
Sama abhi bandha hi tha,
Shyam ka nasha abhi halka sa chadha hi tha,
Khande pe sir rakh kar, abhi pehloo mein soya hi tha,
Kambakhat judaai ke mod ko bhi abhi aana hi tha.