The only thing constant....Change
Jo nange pav chala na ho Woh dharti ki chuban ko kya jane
Jisne payr kiya na ho woh dil ka dard kya jane
Jisne Chehare ke muskan ko padna seekha nahi
Woh dil mein chupi nami ko kya jane.
Mere har shabd se karti thi woh nafrat
Mere har ishare se karti thi woh bagavat
Pyar chupane mein samajti thi woh sharafat
Per yeh thi unki ada, karne ka ishar-e-mohabaat.
Nyno se kiya tha pyar ka ishar
Khamosh reh kar keh di thi dil ki baat
Samajh na sake woh mera yeh andaz
uth rahi hai doli uski aur saat mein hai baraat
Muskura rahen hai woh aur
Baithe hain hum logon ke beech tanhai ke saat.
Aakhen khuli toh deedar tera ho
Sasen chalen toh mehek tera ho
Mar bhi gaye toh gum nahi
agar kafan tere anchal ka ho
Tumhare shikwa per bhi na gila karenge
Tumhare ruswai per bhi na khafa honge
karte hain tumse bepannah mohabaat
Tumhare har sitam ko sah kar bhi bafa karenge